DhunDhne Se Yun To Is Duniya Mein Kya Milta Nahin

DhunDhne se yun to is duniya mein kya milta nahin

sach agar puchho to sachcha aashna milta nahin

aap ke jo yar bante hain wo hain matlab ke yar

is zamane mein muhibb-e-ba-safa milta nahin

siraton mein bhi hai insanon ki baham iKHtilaf

ek se surat mein jaise dusra milta nahin

dair o kaba mein bhaTakte phir rahe hain raat din

DhunDhne se bhi to bandon ko KHuda milta nahin

hain pareshan aur hairan jaen to jaen kidhar

rah-gum-gashton ko manzil ka pata milta nahin

bul-hawas dil ki tarah har rang hai sarf-e-shikast

lala o gul mein bhi rang-e-der-pa milta nahin

hai yahan to sair-e-gulzar-e-KHayal nau-ba-nau

han asiro hum ko mazmun kuchh naya milta nahin

roiye rona zamane ka to 'kaifi' kis ke pas

koi is dil ke siwa dard-ashna milta nahin

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhunDhne Se Yun To Is Duniya Mein Kya Milta Nahin In English By Famous Poet Dattatriya Kaifi. DhunDhne Se Yun To Is Duniya Mein Kya Milta Nahin is written by Dattatriya Kaifi. Read famous Poem DhunDhne Se Yun To Is Duniya Mein Kya Milta Nahin for youth and Student by Dattatriya Kaifi. Free Download DhunDhne Se Yun To Is Duniya Mein Kya Milta Nahin in PDF.