Surat-e-haal Ab To Wo Naqsh-e-KHayali Ho Gaya

surat-e-haal ab to wo naqsh-e-KHayali ho gaya

jo maqam ma-siwa tha dil mein KHali ho gaya

mumtana jo tha wo hai zeb-e-badahat qalb ko

jo yaqini amr tha wo ehtimali ho gaya

chhoDi KHud-bini to ab har shai mein husn aaya nazar

dida-e-haq-bin jalali se jamali ho gaya

zauq-e-nazzara ye hai aankhon par ab rakhta hun main

zarre zarre ko jo nazar-e-paemali ho gaya

zoam aur pindar ka haq-ul-yaqin se hai badal

wo gharonda ab to fanus-e-KHayali ho gaya

aankh uTh kar husn-e-qudrat se jo apne par gai

sab KHudi ka rang rang-e-infiali ho gaya

pahle is mein sar tha ai samsam ishq aur jaan thi

kyunki milta tujh se aa ab hath KHali ho gaya

ghairat-e-dil-dada-o-dil-dar ki jati rahi

ab to jo hona tha ai aaqa-e-ali ho gaya

wajah-e-ilm-e-zat ho kyunkar na irfan-e-sifat

kya arz ki shan jab jauhar se KHali ho gaya

jo raha KHuddar hone par KHudi se dur dur

wo dayar-e-ishq o dil-sozi ka wali ho gaya

hai KHata us ko agar aashiq kaho tum jis ka ishq

KHatm jab us ne murad ek apni pa li ho gaya

jazba-e-isar kya quwwat amal ki phir kahan

jab shuur insan ka sarf-e-la-ubaali ho gaya

ai qadamat-kesh sun ye aalam-e-ijad hai

nam jiddat ka azal mein la-yazali ho gaya

chhoD kar lutf-e-suKHan maghz-e-suKHan se kaam lo

kya hua 'kaifi' jo garam-e-KHush-maqali ho gaya

(931) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Surat-e-haal Ab To Wo Naqsh-e-KHayali Ho Gaya In English By Famous Poet Dattatriya Kaifi. Surat-e-haal Ab To Wo Naqsh-e-KHayali Ho Gaya is written by Dattatriya Kaifi. Read famous Poem Surat-e-haal Ab To Wo Naqsh-e-KHayali Ho Gaya for youth and Student by Dattatriya Kaifi. Free Download Surat-e-haal Ab To Wo Naqsh-e-KHayali Ho Gaya in PDF.