Ya Ilahi Mujhko Ye Kya Ho Gaya
ya ilahi mujh ko ye kya ho gaya
dosti ka teri sauda ho gaya
dosti kya ham-sari ka dhyan hai
qaid se aazad itna ho gaya
kaisi aazadi asiri chiz kya
jab fana rang-e-tamanna ho gaya
jab tamanna aur Dar jata raha
to har ek shai se mubarra ho gaya
yun mubarra ho gai jab koi zat
band phir naghma sifat ka ho gaya
jab hua ausaf se koi bari
aib kyunkar us mein paida ho gaya
KHud-parasti is ko ya jo kuchh kaho
ab to ye aalam hamara ho gaya
be-KHudi ne mahw-e-hairat kar diya
aap mein apna tamasha ho gaya
jis ko dekha aap hi aaya nazar
rang ab 'kaifi' ye apna ho gaya
(1009) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544
Dattatriya Kaifi