Jab Wo Mah-e-ruKHsar Yakayak Nazar Aaya

jab wo mah-e-ruKHsar yakayak nazar aaya

us mah ki talat sun suraj dil mein dar aaya

tere ruKH-e-raushan kun siyah KHat mein sirijan

dekha so kaha abr-e-siyah mein qamar aaya

gulshan mein chal ai sarw-e-sahi sair ki KHatir

tujh waste le gul tabaq-e-naqd-e-zar aaya

tujh jam-e-nayan mein hai ajab baada-e-sarshaar

yak did sati jis ke ho dil be-KHabar aaya

muhtaj-e-kabutar nahin mujh shauq ka nama

qasid ho mera dil le sajan ki KHabar aaya

kahte hain sab ahl-e-suKHan is sher kun sun kar

tujh taba mein 'daud' 'wali' ka asar aaya

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Wo Mah-e-ruKHsar Yakayak Nazar Aaya In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Jab Wo Mah-e-ruKHsar Yakayak Nazar Aaya is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Jab Wo Mah-e-ruKHsar Yakayak Nazar Aaya for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Jab Wo Mah-e-ruKHsar Yakayak Nazar Aaya in PDF.