KHirqa-poshi Mein KHud-numai Hai

KHirqa-poshi mein KHud-numai hai

hath bas kasa-e-gadai hai

boriya bhi nahin use darkar

jis ke tain shauq-e-be-riyai hai

gul sab hanste hain bazm-e-gulshan mein

ishq-e-bulbul magar riyai hai

jald jati hai aasman upar

aah meri ajab hawai hai

sham-e-mina ke nur sun saqi

mahfil dil mein raushnai hai

har ghaDi dekhta hai darpan kun

shoKH mein tarz-e-KHud-numai hai

jab sun dekha hun us ki zulf-e-daraaz

tab sun mujh fikr mein rasai hai

kan u dekha hai KHwab mein maKHmal

tujh kaf-e-pa mein jo safai hai

kyun na hue mah-e-nau misal-e-aziz

jis mane rasm-e-kam-numai hai

dast-e-gul-ru mein pahunchne 'daud'

kaghaz-e-KHat mera hinai hai

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHirqa-poshi Mein KHud-numai Hai In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. KHirqa-poshi Mein KHud-numai Hai is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem KHirqa-poshi Mein KHud-numai Hai for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download KHirqa-poshi Mein KHud-numai Hai in PDF.