Kabhi Aansu Kabhi KHwabon Ke Dhaare TuT Jate Hain

kabhi aansu kabhi KHwabon ke dhaare TuT jate hain

zara si aankh mein kya kya nazare TuT jate hain

hawa bhi aaj-kal rakhti hai tewar pattharon jaise

yahan to soch se pahle ishaare TuT jate hain

hamein tanhaiyon mein yun sadaen kaun deta hai

samundar kanp uThta hai kinare TuT jate hain

pas-e-diwar chhup jate hain jo tufan se Dar kar

unhin ki zindagi mein sab sahaare TuT jate hain

jabin par kaun si tahrir likkhi hai KHuda jaane

hamare pas aa kar kyun sitare TuT jate hain

(956) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Aansu Kabhi KHwabon Ke Dhaare TuT Jate Hain In English By Famous Poet Dinesh Thakur. Kabhi Aansu Kabhi KHwabon Ke Dhaare TuT Jate Hain is written by Dinesh Thakur. Read famous Poem Kabhi Aansu Kabhi KHwabon Ke Dhaare TuT Jate Hain for youth and Student by Dinesh Thakur. Free Download Kabhi Aansu Kabhi KHwabon Ke Dhaare TuT Jate Hain in PDF.