Bulana Aur Na Jaana Chahta Hun

bulana aur na jaana chahta hun

marasim bhi nibhana chahta hun

teri qurbat se kuchh lamhe chura kar

main apne pas aana chahta hun

kahan ye tai nahin kar paya lekin

kahin main bhag jaana chahta hun

kisi din gardish-e-ayyam ko bhi

main ungli par nachana chahta hun

zarurat to nahin tu hai zaruri

tujhe apna banana chahta hun

bahut sahra-nawardi ho chuki ab

Thikane ka Thikana chahta hun

asar karti nahin hai narm-goi

main ab nare lagana chahta hun

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bulana Aur Na Jaana Chahta Hun In English By Famous Poet Dr. Azam. Bulana Aur Na Jaana Chahta Hun is written by Dr. Azam. Read famous Poem Bulana Aur Na Jaana Chahta Hun for youth and Student by Dr. Azam. Free Download Bulana Aur Na Jaana Chahta Hun in PDF.