Shauq Baqi Nahin Baqi Nahin Ab Josh-o-KHarosh

shauq baqi nahin baqi nahin ab josh-o-KHarosh

din wo pur-kaif the jab hum the sarasar madhosh

maslahat josh-e-baghawat ko daba deti hai

dil dhaDakta hai magar dil ki sadaen KHamosh

ab koi surat-e-guftar nazar aati nahin

wo bhi KHamosh mera radd-e-amal bhi KHamosh

teri raftar lagatar ho kachhue ki tarah

warna rah jaega tu rah mein misl-e-KHargosh

zist ki rah pe tanha na kabhi chal paya

gham-e-jaanan gham-e-dauran bhi rahe dosh-ba-dosh

samna dahr ka tanha use ab karne de

panw mein beTe ke aane lage teri pa-posh

bazm-e-urdu se hui der bahut aae hue

ab talak sans mein KHushbu hai moattar hain gosh

ab to ghar-bar mein lagta hi nahin dil 'azam'

aisa lagta hai ki ho jaenge hum KHana-ba-dosh

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq Baqi Nahin Baqi Nahin Ab Josh-o-KHarosh In English By Famous Poet Dr. Azam. Shauq Baqi Nahin Baqi Nahin Ab Josh-o-KHarosh is written by Dr. Azam. Read famous Poem Shauq Baqi Nahin Baqi Nahin Ab Josh-o-KHarosh for youth and Student by Dr. Azam. Free Download Shauq Baqi Nahin Baqi Nahin Ab Josh-o-KHarosh in PDF.