Ummid Par Hamari Ye Duniya Khari Nahin

ummid par hamari ye duniya khari nahin

phir bhi to us ko pane ki KHwahish meri nahin

be-wajh gul-ruKHon se meri be-ruKHi kahan

mere junun-e-shauq ke qabil pari nahin

taskin mile bhi dida-e-hairan ko kis tarah

shishagari nahin kahin jalwagari nahin

bad-rang si bahaar hai fasl-e-bahaar mein

bashshash dil nahin hai tabiat hari nahin

lagta hai aaj shahr ke haalat Thik hain

masjid wagarna kal ki tarah kyun bhari nahin

haalanki mere jurm pe parde paDe rahe

dil ki malamaton se magar main bari nahin

dharti pe dikh rahe hain gunahon ke ab asar

'azam' kahin to KHushki kahin par tari nahin

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ummid Par Hamari Ye Duniya Khari Nahin In English By Famous Poet Dr. Azam. Ummid Par Hamari Ye Duniya Khari Nahin is written by Dr. Azam. Read famous Poem Ummid Par Hamari Ye Duniya Khari Nahin for youth and Student by Dr. Azam. Free Download Ummid Par Hamari Ye Duniya Khari Nahin in PDF.