Bazm-e-tanhai Mein Aks-e-shoala-paikar Tha Koi

bazm-e-tanhai mein aks-e-shoala-paikar tha koi

ya hamare samne yaadon ka lashkar tha koi

qurbaton ke ghaT par sukhi nadi sabit hua

faslon ke dasht mein gahra samundar tha koi

us ki sari iltijaen hukm Thahrai gain

jis ghaDi dekha gaya jame se bahar tha koi

dewta hai ab wahi mandir ke aasan par jama

Thokaren khata hua raste ka patthar tha koi

us ki KHwahish thi ki sath-e-ab par chal kar dikhae

kya muqaddar tha ki dariya ka muqaddar tha koi

karb apne baune-pan ka jhelta hun aaj tak

soch ubhri thi bujhi mere barabar tha koi

samne us ke agar suraj nahin tha 'ehtiram'

pani pani aaKHirash kyun shoala-paikar tha koi

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazm-e-tanhai Mein Aks-e-shoala-paikar Tha Koi In English By Famous Poet Ehteram Islam. Bazm-e-tanhai Mein Aks-e-shoala-paikar Tha Koi is written by Ehteram Islam. Read famous Poem Bazm-e-tanhai Mein Aks-e-shoala-paikar Tha Koi for youth and Student by Ehteram Islam. Free Download Bazm-e-tanhai Mein Aks-e-shoala-paikar Tha Koi in PDF.