Faza-e-sham Ziya-e-sahar Usi Se Mili

faza-e-sham ziya-e-sahar usi se mili

kashish hayat ko al-muKHtasar usi se mili

usi se mujh ko mila ishtiyaq manzil ka

mere safar ko faza-e-safar usi se mili

buland martaba-e-musht-e-KHak usi ne kiya

tamam fahm-o-zaka-o-nazar usi se mili

ghurur KHud pe jise jis qadar bhi ho lekin

mili jise bhi mata-e-hunar usi se mili

usi ne zulmat-e-gum-gashtagi ko dur kiya

talash-e-haq ko rah-e-mo'tabar usi se mili

ata karega hamein bhi wahi rida-e-ziya

ki jugnuon ko qaba-e-sharar usi se mili

wo be-KHabar hai, nahin 'ehtiram' jis ko KHabar

ki aadmi ko mili har KHabar, usi se mili

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza-e-sham Ziya-e-sahar Usi Se Mili In English By Famous Poet Ehteram Islam. Faza-e-sham Ziya-e-sahar Usi Se Mili is written by Ehteram Islam. Read famous Poem Faza-e-sham Ziya-e-sahar Usi Se Mili for youth and Student by Ehteram Islam. Free Download Faza-e-sham Ziya-e-sahar Usi Se Mili in PDF.