Ghaiz Ka Suraj Tha Sar Par Sach Ko Sach Kahta To Kaun

ghaiz ka suraj tha sar par sach ko sach kahta to kaun

ras aata kis ko mahshar sach ko sach kahta to kaun

sab ne paDh rakkha tha sach ki jit hoti hai magar

tha bharosa kis ko sach par sach ko sach kahta to kaun

man rakhta kaun wish ka kaun apnata salib

koi isa tha na shankar sach ko sach kahta to kaun

tha kisi ka bhi na maqsad sach ko jhuTlana magar

munh mein rakh kar luqma-e-tar sach ko sach kahta to kaun

aadmi to KHair se basti mein milte hi na the

dewta the so the patthar sach ko sach kahta to kaun

sab haqiqat mein ubharta jab bhi sach lagta na tha

KHwab mein hote ujagar sach ko sach kahta to kaun

yaad tha 'suqraat' ka qissa sabhi ko 'ehtiram'

sochiye aise mein baDh kar sach ko sach kahta to kaun

(1008) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ghaiz Ka Suraj Tha Sar Par Sach Ko Sach Kahta To Kaun In English By Famous Poet Ehteram Islam. Ghaiz Ka Suraj Tha Sar Par Sach Ko Sach Kahta To Kaun is written by Ehteram Islam. Read famous Poem Ghaiz Ka Suraj Tha Sar Par Sach Ko Sach Kahta To Kaun for youth and Student by Ehteram Islam. Free Download Ghaiz Ka Suraj Tha Sar Par Sach Ko Sach Kahta To Kaun in PDF.