Kyun Yurish-e-tarab Mein Bhi Gham Yaad Aa Gae

kyun yurish-e-tarab mein bhi gham yaad aa gae

socha tere karam ko sitam yaad aa gae

ai dost mai-kade mein ye kaisi hawa chali

sab fitna-ha-e-dair-o-haram yaad aa gae

raushan abhi hua tha sar-e-jada-hayat

ek kakul-e-siyah ke KHam yaad aa gae

ab kya dikha raha hai rah-e-mah-o-kahkashan

naseh kisi ke naqsh-e-qadam yaad aa gae

ek ek kar ke TuT chuke hain KHirad ke but

but-KHana-e-junun ke sanam yaad aa gae

(2994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Yurish-e-tarab Mein Bhi Gham Yaad Aa Gae In English By Famous Poet Ehtisham Husain. Kyun Yurish-e-tarab Mein Bhi Gham Yaad Aa Gae is written by Ehtisham Husain. Read famous Poem Kyun Yurish-e-tarab Mein Bhi Gham Yaad Aa Gae for youth and Student by Ehtisham Husain. Free Download Kyun Yurish-e-tarab Mein Bhi Gham Yaad Aa Gae in PDF.