Sae Mein Aablon Ki Jalan Aur BaDh Gai

sae mein aablon ki jalan aur baDh gai

thak kar jo baiThe hum to thakan aur baDh gai

kal is qadar tha habs hamare makan mein

sanki hawa zara to ghuTan aur baDh gai

kanTon ki guftugu se KHalish dil mein kam na thi

phulon ke tazkire se chubhan aur baDh gai

ye baghban hamare lahu ka kamal hai

nairangi-e-bahaar-e-chaman aur baDh gai

ye hijr ki hai aag mizaj us ka aur hai

ashkon se shoalagi-e-badan aur baDh gai

sairab kar saka na use mera KHun bhi

kuchh tishnagi-e-dar-o-rasan aur baDh gai

harf-e-sipas pesh kiya jab bhi wo mila

lekin jabin pe us ki shikan aur baDh gai

tahrir ki jo ek ghazal us ke nam par

'ejaz' aabru-e-suKHan aur baDh gai

(1639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sae Mein Aablon Ki Jalan Aur BaDh Gai In English By Famous Poet Ejaz Rahmani. Sae Mein Aablon Ki Jalan Aur BaDh Gai is written by Ejaz Rahmani. Read famous Poem Sae Mein Aablon Ki Jalan Aur BaDh Gai for youth and Student by Ejaz Rahmani. Free Download Sae Mein Aablon Ki Jalan Aur BaDh Gai in PDF.