Kahan Sabaat-e-gham-e-dil Kahan Sarab-e-sukun

kahan sabaat-e-gham-e-dil kahan sarab-e-sukun

wo KHush-nasib hai mil jae jis ko soz-e-darun

KHud aap dekh len kya haal dil zaban se kahun

abhi to hain meri aankhon mein chand qatra-e-KHun

ye shahr-e-ham-nafasan kitni bar ujDa hai

kabhi na ho saka lekin sar-e-hayat nigun

abhi to maslahat-e-waqt hi pe nazan hai

abhi KHirad ko mayassar kahan maqam-e-junun

nigah nichi kiye munfail se baiThe hain

ab un se shikwa-e-bedad kis zaban se karun

nikhaar aa hi gaya KHushk KHushk chehron par

mila to girya-e-shabnam se kuchh gulon ko sukun

dar-asl hai meri hasti ki kaenat 'ejaz'

wo ek nigah jise zindagi ka raaz kahun

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Sabaat-e-gham-e-dil Kahan Sarab-e-sukun In English By Famous Poet Ejaz Warsi. Kahan Sabaat-e-gham-e-dil Kahan Sarab-e-sukun is written by Ejaz Warsi. Read famous Poem Kahan Sabaat-e-gham-e-dil Kahan Sarab-e-sukun for youth and Student by Ejaz Warsi. Free Download Kahan Sabaat-e-gham-e-dil Kahan Sarab-e-sukun in PDF.