Aangan Aangan KHana-KHarabi Hansti Hai Meamaron Par

aangan aangan KHana-KHarabi hansti hai meamaron par

patthar ki chhat Dhaal rahe hain shishe ki diwaron par

zaKHm lage to bas ye jaano choT paDi naqqaron par

aaj laga do jaan ki bazi TuT paDo talwaron par

ahl-e-junun ki lala-kari mausam ki paband nahin

fasl-e-KHizan mein phul khule hain zindan ki diwaron par

dil ke ufuq se TuT gae hain kitne suraj kitne chand

Tapke hain do-chaar sitare jab tere ruKHsaron par

kahte hain KHush-qamat kis ko dekh nikal kar gulshan se

kaise kaise sarw-e-rana chalte hain angaron par

is sahil par naw paDi hai us sahil par manjhi hai

beach nadi mein tairti lasho pul ban jao dhaaron par

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aangan Aangan KHana-KHarabi Hansti Hai Meamaron Par In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Aangan Aangan KHana-KHarabi Hansti Hai Meamaron Par is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Aangan Aangan KHana-KHarabi Hansti Hai Meamaron Par for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Aangan Aangan KHana-KHarabi Hansti Hai Meamaron Par in PDF.