Naddi Naddi Ran PaDte Hain Jab Se Naw Utari Hai

naddi naddi ran paDte hain jab se naw utari hai

tufanon ke kas-bal dekhe ab mallah ki bari hai

nind ragon mein dauD rahi hai por por bedari hai

jism bahut hassas hai lekin dil jazbaat se aari hai

aawazon ke paikar zaKHmi lafzon ke but lahuluhan

karte hain izhaar-e-tafannun kahte hain fankari hai

manzil manzil panw jama kar hum bhi chale the ham-safaro

ukhDi ukhDi chaal ka bais rah ki na-hamwari hai

aankh thakan ne kholi hai ya azm-e-safar ne karwaT li

par phaila kar baiThoge ya uDne ki tayyari hai

sach kahte ho niw mein is ki TeDhi koi inT nahin

aaDi-tirchhi chhat ka bais ghar ki kaj-diwari hai

kya kahiye kyun aaj saron se zaKHmon ka bojh uTh na saka

patthar the lekin halke the phul hai lekin bhaari hai

basti basti qarya qarya koson aangan hai na munDer

zehn KHaraba dil virana ghar aasab pe tari hai

ek diya aur itna raushan jaise dahakta suraj ho

kahne wale sach kahte hain raat bahut andhiyari hai

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naddi Naddi Ran PaDte Hain Jab Se Naw Utari Hai In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Naddi Naddi Ran PaDte Hain Jab Se Naw Utari Hai is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Naddi Naddi Ran PaDte Hain Jab Se Naw Utari Hai for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Naddi Naddi Ran PaDte Hain Jab Se Naw Utari Hai in PDF.