Do GhaDi Sae Mein Jalne Ki Aziyyat Aur Hai

do ghaDi sae mein jalne ki aziyyat aur hai

raste mein ek diwar-e-sharafat aur hai

ab bahut duri nahin wadon ki manzil aa chali

do qadam bas moD tak chalne ki zahmat aur hai

damanon par DhunDhiye ab kyun charaghon ka lahu

hum na kahte the hawa-KHwahon ki niyyat aur hai

phir basarat ka taaqub phir ujale ka safar

Dhal chuki hai raat pal do pal ki mohlat aur hai

ghar se KHud nikle the KHemon se nikalwae gae

wo pashemani alag thi ye nadamat aur hai

subh-e-ishrat ko shab-e-gham ke tanazur mein na dekh

wo qayamat dusri thi ye qayamat aur hai

zaKHm-zaron se to sab nashtar-kade nazdik the

chaarasazo kya hua kitni masafat aur hai

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Do GhaDi Sae Mein Jalne Ki Aziyyat Aur Hai In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Do GhaDi Sae Mein Jalne Ki Aziyyat Aur Hai is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Do GhaDi Sae Mein Jalne Ki Aziyyat Aur Hai for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Do GhaDi Sae Mein Jalne Ki Aziyyat Aur Hai in PDF.