Holi

aaj hai roz-e-wasant ai dostan

sarw-qad hai bostan ke darmiyan

bagh mein hai aish-o-ishrat raat din

gul-ruKHan bin nain guzarti ek din

sab ke tan mein hai libas-e-kesri

karte hain sad-barg sun lab ham-sari

KHub-ru sab ban rahe hain lal zard

bagh ka bazar hai is waqt sard

chand jaisa hai shafaq bhitar ayan

chehra sab ka az-gulal aatish-fishan

har chhabeli az-libas-e-kesari

taza karti hai bahaare-e-jafri

nachti ga ga ke holi dam-ba-dam

jyun sabha indar ki dar bagh-e-iram

az kabir-o-rang-e-kesar aur gulal

abr chhaya hai safed-o-zard-o-lal

jiyun jhaDi har su hai pichkari ki dhaar

dauDti hain nariyan bijli ke sar

josh-e-ishrat ghar-ba-ghar hai har taraf

nachti hain sab takalluf-bar-taraf

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Holi In English By Famous Poet Faez Dehlvi. Holi is written by Faez Dehlvi. Read famous Poem Holi for youth and Student by Faez Dehlvi. Free Download Holi in PDF.