Hum Par Tumhaari Chah Ka Ilzam Hi To Hai

hum par tumhaari chah ka ilzam hi to hai

dushnam to nahin hai ye ikram hi to hai

karte hain jis pe tan koi jurm to nahin

shauq-e-fuzul o ulfat-e-nakaam hi to hai

dil muddai ke harf-e-malamat se shad hai

ai jaan-e-jaan ye harf tera nam hi to hai

dil na-umid to nahin nakaam hi to hai

lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai

dast-e-falak mein gardish-e-taqdir to nahin

dast-e-falak mein gardish-e-ayyam hi to hai

aaKHir to ek roz karegi nazar wafa

wo yar-e-KHush-KHisal sar-e-baam hi to hai

bhigi hai raat 'faiz' ghazal ibtida karo

waqt-e-sarod dard ka hangam hi to hai

(5564) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Par Tumhaari Chah Ka Ilzam Hi To Hai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Hum Par Tumhaari Chah Ka Ilzam Hi To Hai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Hum Par Tumhaari Chah Ka Ilzam Hi To Hai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Hum Par Tumhaari Chah Ka Ilzam Hi To Hai in PDF.