Kai Bar Is Ka Daman Bhar Diya Husn-e-do-alam Se

kai bar is ka daman bhar diya husn-e-do-alam se

magar dil hai ki is ki KHana-virani nahin jati

kai bar is ki KHatir zarre zarre ka jigar chera

magar ye chashm-e-hairan jis ki hairani nahin jati

nahin jati mata-e-lal-o-gauhar ki giran-yabi

mata-e-ghairat-o-iman ki arzani nahin jati

meri chashm-e-tan-asan ko basirat mil gai jab se

bahut jaani hui surat bhi pahchani nahin jati

sar-e-KHusrau se naz-e-kaj-kulahi chhin bhi jata hai

kulah-e-khusrawi se bu-e-sultani nahin jati

ba-juz diwangi wan aur chaara hi kaho kya hai

jahan aql o KHirad ki ek bhi mani nahin jati

(6889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kai Bar Is Ka Daman Bhar Diya Husn-e-do-alam Se In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Kai Bar Is Ka Daman Bhar Diya Husn-e-do-alam Se is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Kai Bar Is Ka Daman Bhar Diya Husn-e-do-alam Se for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Kai Bar Is Ka Daman Bhar Diya Husn-e-do-alam Se in PDF.