Kis Harf Pe Tu Ne Gosha-e-lab Ai Jaan-e-jahan Ghammaz Kiya

kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jaan-e-jahan ghammaz kiya

elan-e-junun dil walon ne ab ke ba-hazar-andaz kiya

sau paikan the paiwast-e-gulu jab chheDi shauq ki lai hum ne

so tir taraazu the dil mein jab hum ne raqs aaghaz kiya

be-hirs-o-hawa be-KHauf-o-KHatar is hath pe sar is kaf pe jigar

yun ku-e-sanam mein waqt-e-safar nazzara-e-baam-e-naz kiya

jis KHak mein mil kar KHak hue wo surma-e-chashm-e-KHalq bani

jis KHar pe hum ne KHun chhiDka ham-rang-e-gul-e-tannaz kiya

lo wasl ki saat aa pahunchi phir hukm-e-huzuri par hum ne

aankhon ke dariche band kiye aur sine ka dar baz kiya

(1902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Harf Pe Tu Ne Gosha-e-lab Ai Jaan-e-jahan Ghammaz Kiya In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Kis Harf Pe Tu Ne Gosha-e-lab Ai Jaan-e-jahan Ghammaz Kiya is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Kis Harf Pe Tu Ne Gosha-e-lab Ai Jaan-e-jahan Ghammaz Kiya for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Kis Harf Pe Tu Ne Gosha-e-lab Ai Jaan-e-jahan Ghammaz Kiya in PDF.