Kis Shahr Na Shohra Hua Nadani-e-dil Ka

kis shahr na shohra hua nadani-e-dil ka

kis par na khula raaz pareshani-e-dil ka

aao karen mahfil pe zar-e-zaKHm numayan

charcha hai bahut be-sar-o-samani-e-dil ka

dekh aaen chalo ku-e-nigaran ka KHaraba

shayad koi mahram mile virani-e-dil ka

puchho to udhar tir-fagan kaun hai yaro

saunpa tha jise kaam nigahbani-e-dil ka

dekho to kidhar aaj ruKH-e-baad-e-saba hai

kis rah se payam aaya hai zindani-e-dil ka

utre the kabhi 'faiz' wo aaina-e-dil mein

aalam hai wahi aaj bhi hairani-e-dil ka

(1693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Shahr Na Shohra Hua Nadani-e-dil Ka In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Kis Shahr Na Shohra Hua Nadani-e-dil Ka is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Kis Shahr Na Shohra Hua Nadani-e-dil Ka for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Kis Shahr Na Shohra Hua Nadani-e-dil Ka in PDF.