Kisi Guman Pe Tawaqqoa Ziyaada Rakhte Hain

kisi guman pe tawaqqoa ziyaada rakhte hain

phir aaj ku-e-butan ka irada rakhte hain

bahaar aaegi jab aaegi ye shart nahin

ki tishna-kaam rahen garche baada rakhte hain

teri nazar ka gila kya jo hai gila dil ka

to hum se hai ki tamanna ziyaada rakhte hain

nahin sharab se rangin to gharq-e-KHun hain ki hum

KHayal-e-waz-e-qamis-o-libaada rakhte hain

gham-e-jahan ho gham-e-yar ho ki tir-e-sitam

jo aae aae ki hum dil kushada rakhte hain

jawab-e-waiz-chabuk-zaban mein 'faiz' hamein

yahi bahut hain jo do harf-e-sada rakhte hain

(2946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Guman Pe Tawaqqoa Ziyaada Rakhte Hain In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Kisi Guman Pe Tawaqqoa Ziyaada Rakhte Hain is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Kisi Guman Pe Tawaqqoa Ziyaada Rakhte Hain for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Kisi Guman Pe Tawaqqoa Ziyaada Rakhte Hain in PDF.