Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqsh-e-mazi MiTe MiTe Se

kabhi kabhi yaad mein ubharte hain naqsh-e-mazi miTe miTe se

wo aazmaish dil o nazar ki wo qurbaten si wo fasle se

kabhi kabhi aarzu ke sahra mein aa ke rukte hain qafile se

wo sari baaten lagaw ki si wo sare unwan visal ke se

nigah o dil ko qarar kaisa nashat o gham mein kami kahan ki

wo jab mile hain to un se har bar ki hai ulfat nae sire se

bahut giran hai ye aish-e-tanha kahin subuk-tar kahin gawara

wo dard-e-pinhan ki sari duniya rafiq thi jis ke waste se

tumhin kaho rind o mohtasib mein hai aaj shab kaun farq aisa

ye aa ke baiThe hain mai-kade mein wo uTh ke aae hain mai-kade se

(2989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqsh-e-mazi MiTe MiTe Se In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqsh-e-mazi MiTe MiTe Se is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqsh-e-mazi MiTe MiTe Se for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqsh-e-mazi MiTe MiTe Se in PDF.