Na Ab Raqib Na Naseh Na Gham-gusar Koi

na ab raqib na naseh na gham-gusar koi

tum aashna the to thin aashnaiyan kya kya

juda the hum to mayassar thin qurbaten kitni

baham hue to paDi hain judaiyan kya kya

pahunch ke dar pe tere kitne mo'tabar Thahre

agarche rah mein huin jag-hansaiyan kya kya

hum aise sada-dilon ki niyaz-mandi se

buton ne ki hain jahan mein KHudaiyan kya kya

sitam pe KHush kabhi lutf-o-karam se ranjida

sikhain tum ne hamein kaj-adaiyan kya kya

(4237) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ab Raqib Na Naseh Na Gham-gusar Koi In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Na Ab Raqib Na Naseh Na Gham-gusar Koi is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Na Ab Raqib Na Naseh Na Gham-gusar Koi for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Na Ab Raqib Na Naseh Na Gham-gusar Koi in PDF.