Na Ganwao Nawak-e-nim-kash Dil-e-reza-reza Ganwa Diya

na ganwao nawak-e-nim-kash dil-e-reza-reza ganwa diya

jo bache hain sang sameT lo tan-e-dagh-dagh luTa diya

mere chaara-gar ko nawed ho saf-e-dushmanan ko KHabar karo

jo wo qarz rakhte the jaan par wo hisab aaj chuka diya

karo kaj jabin pe sar-e-kafan mere qatilon ko guman na ho

ki ghurur-e-ishq ka bankpan pas-e-marg hum ne bhula diya

udhar ek harf ki kushtani yahan lakh uzr tha guftani

jo kaha to sun ke uDa diya jo likha to paDh ke miTa diya

jo ruke to koh-e-giran the hum jo chale to jaan se guzar gae

rah-e-yar hum ne qadam qadam tujhe yaadgar bana diya

(4857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ganwao Nawak-e-nim-kash Dil-e-reza-reza Ganwa Diya In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Na Ganwao Nawak-e-nim-kash Dil-e-reza-reza Ganwa Diya is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Na Ganwao Nawak-e-nim-kash Dil-e-reza-reza Ganwa Diya for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Na Ganwao Nawak-e-nim-kash Dil-e-reza-reza Ganwa Diya in PDF.