Na Kisi Pe ZaKHm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafu Ki Hai

na kisi pe zaKHm ayan koi na kisi ko fikr rafu ki hai

na karam hai hum pe habib ka na nigah hum pe adu ki hai

saf-e-zahidan hai to be-yaqin saf-e-mai-kashan hai to be-talab

na wo subh wird-o-wazu ki hai na wo sham jam-o-subu ki hai

na ye gham naya na sitam naya ki teri jafa ka gila karen

ye nazar thi pahle bhi muztarib ye kasak to dil mein kabhu ki hai

kaf-e-baghban pe bahaar-e-gul ka hai qarz pahle se besh-tar

ki har ek phul ke pairahan mein numud mere lahu ki hai

nahin KHauf-e-roz-e-siyah hamein ki hai 'faiz' zarf-e-nigah mein

abhi gosha-gir wo ek kiran jo lagan us aaina-ru ki hai

(2540) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Kisi Pe ZaKHm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafu Ki Hai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Na Kisi Pe ZaKHm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafu Ki Hai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Na Kisi Pe ZaKHm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafu Ki Hai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Na Kisi Pe ZaKHm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafu Ki Hai in PDF.