Sitam Ki RasMein Bahut Thin Lekin Na Thi Teri Anjuman Se Pahle

sitam ki rasmen bahut thin lekin na thi teri anjuman se pahle

saza KHata-e-nazar se pahle itab jurm-e-suKHan se pahle

jo chal sako to chalo ki rah-e-wafa bahut muKHtasar hui hai

maqam hai ab koi na manzil faraaz-e-dar-o-rasan se pahle

nahin rahi ab junun ki zanjir par wo pahli ijara-dari

giraft karte hain karne wale KHirad pe diwana-pan se pahle

kare koi tegh ka nazara ab un ko ye bhi nahin gawara

ba-zid hai qatil ki jaan-e-bismil figar ho jism o tan se pahle

ghurur-e-sarw-o-saman se kah do ki phir wahi tajdar honge

jo KHar-o-KHas wali-e-chaman the uruj-e-sarw-o-suman se pahle

idhar taqaze hain maslahat ke udhar taqaza-e-dard-e-dil hai

zaban sambhaalen ki dil sambhaalen asir zikr-e-watan se pahle

(3250) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam Ki RasMein Bahut Thin Lekin Na Thi Teri Anjuman Se Pahle In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Sitam Ki RasMein Bahut Thin Lekin Na Thi Teri Anjuman Se Pahle is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Sitam Ki RasMein Bahut Thin Lekin Na Thi Teri Anjuman Se Pahle for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Sitam Ki RasMein Bahut Thin Lekin Na Thi Teri Anjuman Se Pahle in PDF.