Ashgabad Ki Sham

jab suraj ne jate jate

ashghabad ke nile ufuq se

apne sunahri jam

mein Dhaali

surKHi-e-awwal-e-sham

aur ye jam

tumhaare samne rakh kar

tum se kya kalam

kaha parnam

uTTho

aur apne tan ki sej se uTh kar

ek shirin paigham

sabt karo is sham

kisi ke nam

kanar-e-jam

shayad tum ye man gain aur tum ne

apne lab-e-gulfam

kiye inam

kisi ke nam

kanar-e-jam

ya shayad

tum apne tan ki sej pe saj kar

thin yun mahw-e-aram

ki raste takte takte

bujh gai sham-e-jam

ashghabad ke nile ufuq par

ghaarat ho gai sham

(1657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashgabad Ki Sham In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ashgabad Ki Sham is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ashgabad Ki Sham for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ashgabad Ki Sham in PDF.