Buniyaad Kuchh To Ho

ku-e-sitam ki KHamushi aabaad kuchh to ho

kuchh to kaho sitam-kasho, fariyaad kuchh to ho

bedad-gar se shikwa-e-bedad kuchh to ho

bolo ki shor-e-hashr ki ijad kuchh to ho

marne chale to satwat-e-qatil ka KHauf kya

itna to ho ki bandhne pae na dast o pa

maqtal mein kuchh to rang jame jashn-e-raqs ka

rangin lahu se panja-e-sayyaad kuchh to ho

KHun par gawah daman-e-jallad kuchh to ho

jab KHun-baha talab karen buniyaad kuchh to ho

gar tan nahin zaban sahi aazad kuchh to ho

dushnam nala hao-hu fariyaad kuchh to ho

chiKHe hai dard ai dil-e-barbaad kuchh to ho

bolo ki shor-e-hashr ki ijad kuchh to ho

bolo ki roz-e-adl ki buniyaad kuchh to ho

(2131) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Buniyaad Kuchh To Ho In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Buniyaad Kuchh To Ho is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Buniyaad Kuchh To Ho for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Buniyaad Kuchh To Ho in PDF.