Chand Roz Aur Meri Jaan

chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz

zulm ki chhanw mein dam lene pe majbur hain hum

aur kuchh der sitam sah len taDap len ro len

apne ajdad ki miras hai mazur hain hum

jism par qaid hai jazbaat pe zanjiren hain

fikr mahbus hai guftar pe taziren hain

apni himmat hai ki hum phir bhi jiye jate hain

zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis mein

har ghaDi dard ke paiwand lage jate hain

lekin ab zulm ki miad ke din thoDe hain

ek zara sabr ki fariyaad ke din thoDe hain

arsa-e-dahr ki jhulsi hui virani mein

hum ko rahna hai pe yunhi to nahin rahna hai

ajnabi hathon ka be-nam giran-bar sitam

aaj sahna hai hamesha to nahin sahna hai

ye tere husn se lipTi hui aalam ki gard

apni do roza jawani ki shikaston ka shumar

chandni raaton ka bekar dahakta hua dard

dil ki be-sud taDap jism ki mayus pukar

chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz

(3082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Roz Aur Meri Jaan In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Chand Roz Aur Meri Jaan is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Chand Roz Aur Meri Jaan for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Chand Roz Aur Meri Jaan in PDF.