Lakh Bahkae Ye Duniya Ho Gaya To Ho Gaya

lakh bahkae ye duniya ho gaya to ho gaya

dil se jo ek bar mera ho gaya to ho gaya

kyun nadamat ho mujhe la-iKHtiyari fel par

main teri nazron mein ruswa ho gaya to ho gaya

kam ziyaada ho to sakta hai magar chhuTta nahin

jis ko jo ek bar nashsha ho gaya to ho gaya

dil bahut rota hai lekin us but-e-maghrur se

munqat'a har ek rishta ho gaya to ho gaya

muntaqil hota hai lekin wo kabhi marta nahin

jo sada-e-kun se paida ho gaya to ho gaya

apni marzi se yahan din kaTne ke jurm mein

main agar duniya mein tanha ho gaya to ho gaya

dekhta hai kaun 'babar' kis ka kya kirdar hai

jis se jo mansub qissa ho gaya to ho gaya

(698) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lakh Bahkae Ye Duniya Ho Gaya To Ho Gaya In English By Famous Poet Faiz Alam Babar. Lakh Bahkae Ye Duniya Ho Gaya To Ho Gaya is written by Faiz Alam Babar. Read famous Poem Lakh Bahkae Ye Duniya Ho Gaya To Ho Gaya for youth and Student by Faiz Alam Babar. Free Download Lakh Bahkae Ye Duniya Ho Gaya To Ho Gaya in PDF.