Laga Ki Jaise Kisi Kanpte Hiran Ko Chhua

laga ki jaise kisi kanpte hiran ko chhua

hamare hathon ne jab phul se badan ko chhua

tamam jism mein aasudgi si phail gai

tere dahan ne kabhi jab mere dahan ko chhua

simaT ke aa gai kaghaz pe surat-e-ashaar

hamari fikr ne jab bhi kisi ghuTan ko chhua

kai maqam pe donon mile zarur magar

kishan ne radha ko radha ne kab kishan ko chhua

lipaT ke pahuncha main jab nekiyon ki KHushbu mein

lahad ki miTTi ne Darte hue kafan ko chhua

kabhi na ho saki izhaar-e-ishq ki jurat

ye aur baat kai suraton ne man ko chhua

hum apni jaan bhi kar denge 'faiz' us pe nisar

agar kisi ne kabhi azmat-e-watan ko chhua

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laga Ki Jaise Kisi Kanpte Hiran Ko Chhua In English By Famous Poet Faiz Khalilabadi. Laga Ki Jaise Kisi Kanpte Hiran Ko Chhua is written by Faiz Khalilabadi. Read famous Poem Laga Ki Jaise Kisi Kanpte Hiran Ko Chhua for youth and Student by Faiz Khalilabadi. Free Download Laga Ki Jaise Kisi Kanpte Hiran Ko Chhua in PDF.