Raat Gahri Hai Magar Ek Sahaara Hai Mujhe

raat gahri hai magar ek sahaara hai mujhe

ye meri aankh ka aansu hi sitara hai mujhe

main kisi dhyan mein baiTha hun mujhe kya malum

ek aahaT ne kai bar pukara hai mujhe

aankh se gard haTata hun to kya dekhta hun

apne bikhre hue malbe ka nazara hai mujhe

ai mere laDle ai naz ke pale hue dil

tu ne kis ku-e-malamat se guzara hai mujhe

main to ab jaise bhi guzregi guzarunga yahan

tum kahan jaoge dhaDka to tumhaara hai mujhe

tu ne kya khol ke rakh di hai lapeTi hui umr

tu ne kin aaKHiri lamhon mein pukara hai mujhe

main kahan jata tha us bazm-e-nazar-bazan mein

lekin ab ke tere abru ka ishaara hai mujhe

jaane main kaun tha logon se bhari duniya mein

meri tanhai ne shishe mein utara hai mujhe

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Gahri Hai Magar Ek Sahaara Hai Mujhe In English By Famous Poet Faizi. Raat Gahri Hai Magar Ek Sahaara Hai Mujhe is written by Faizi. Read famous Poem Raat Gahri Hai Magar Ek Sahaara Hai Mujhe for youth and Student by Faizi. Free Download Raat Gahri Hai Magar Ek Sahaara Hai Mujhe in PDF.