KHuda Asar Se Bachae Is Aastane Ko

KHuda asar se bachae is aastane ko

dua chali hai meri qismat aazmane ko

na puchhiye ki mohabbat mein mujh pe kya guzri

na chheDiye mere bhule hue fasane ko

ye shobade ye karishme kise mayassar the

teri nigah ne sikhla diye zamane ko

chaman mein barq ne jhanka ki hum laraz uThe

ab is se aag hi lag jae aashiyane ko

KHayal-e-yar bhi khoya hua sa rahta hai

ab un ki yaad bhi aati hai bhul jaane ko

nigah-e-lutf na farma nigah-e-naz ke baad

jigar mein aag laga kar na aa bujhane ko

zamana bar-sar-e-azar tha magar 'fani'

taDap ke hum ne bhi taDpa diya zamane ko

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Asar Se Bachae Is Aastane Ko In English By Famous Poet Fani Badayuni. KHuda Asar Se Bachae Is Aastane Ko is written by Fani Badayuni. Read famous Poem KHuda Asar Se Bachae Is Aastane Ko for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download KHuda Asar Se Bachae Is Aastane Ko in PDF.