KHushi Se Ranj Ka Badla Yahan Nahin Milta

KHushi se ranj ka badla yahan nahin milta

wo mil gae to mujhe aasman nahin milta

hazar DhunDiye us ka nishan nahin milta

jabin mile to mile aastan nahin milta

majaz aur haqiqat kuchh aur hai yani

teri nigah se tera bayan nahin milta

bhaDak ke shola-e-gul tu hi ab laga de aag

ki bijliyon ko mera aashiyan nahin milta

wo bad-guman ki mujhe tab-e-ranj zist nahin

mujhe ye gham ki gham-e-jawedan nahin milta

teri talash kafi-ul-jumla ma-hasal ye hai

ki tu yahan nahin milta wahan nahin milta

bata ab ai jaras-e-daur main kidhar jaun

nishan-e-gard-e-rah-e-karwan nahin milta

mujhe bula ke yahan aap chhup gaya koi

wo mehman hun jise mezban nahin milta

tujhe KHabar hai tere tir-e-be-panah ki KHair

bahut dinon se dil-e-na-tawan nahin milta

kisi ne tujh ko na jaana magar ye kam jaana

ye raaz hai ki koi raaz-dan nahin milta

mujhe aziz sahi qadr-e-dil tumhein kyun ho

kami to dil ki nahin dil kahan nahin milta

dayar-e-umr mein ab qahat-e-mehr hai 'fani'

koi ajal ke siwa mehrban nahin milta

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Se Ranj Ka Badla Yahan Nahin Milta In English By Famous Poet Fani Badayuni. KHushi Se Ranj Ka Badla Yahan Nahin Milta is written by Fani Badayuni. Read famous Poem KHushi Se Ranj Ka Badla Yahan Nahin Milta for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download KHushi Se Ranj Ka Badla Yahan Nahin Milta in PDF.