Shabab-e-hosh Ki Fil-jumla Yaadgar Hui

shabab-e-hosh ki fil-jumla yaadgar hui

jo umr sarf-e-tamasha-e-husn-e-yar hui

hisab-e-hasrat-e-jurm-e-nazara dil se puchh

nazar to ek jhalak ki gunah-gar hui

bisat-e-ajz mein ek aah thi mata-e-hayat

so wo bhi sarf-e-sitam-ha-e-rozgar hui

ba-qadr-e-hasti-e-dil hai KHumar-e-gham badnam

KHizan KHarab ba-andaza-e-bahaar hui

nahin ki aah mein tasir hi nahin lekin

ye dil-figar kabhi aasman-figar hui

karam hai raaz ummid-e-karam ki hasti ka

ummid tere karam ki ummid-war hui

bala se hijr mein jine ki intiha to hai

wo ek bar hui ya hazar bar hui

azal mein KHalq hui thi jo bijliyon ki ruh

teri nigah meri jaan be-qarar hui

mere wajud ki hujjat mere adam ki dalil

wo ek nazar thi jo shayad jigar ke par hui

bahaar nazr-e-taghaful hui KHizan Thahri

KHizan shahid-e-tabassum hui bahaar hui

ummid-e-marg pe 'fani' nisar kya kije

wo zindagi ki hui bhi to mustaar hui

(1101) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shabab-e-hosh Ki Fil-jumla Yaadgar Hui In English By Famous Poet Fani Badayuni. Shabab-e-hosh Ki Fil-jumla Yaadgar Hui is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Shabab-e-hosh Ki Fil-jumla Yaadgar Hui for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Shabab-e-hosh Ki Fil-jumla Yaadgar Hui in PDF.