Teri Tirchhi Nazar Ka Tir Hai Mushkil Se Niklega

teri tirchhi nazar ka tir hai mushkil se niklega

dil us ke sath niklega agar ye dil se niklega

shab-e-gham mein bhi meri saKHt-jaani ko na maut aai

tera kaam ai ajal ab KHanjar-e-qatil se niklega

nigah-e-shauq mera muddaa tu un ko samjha de

mere munh se to harf-e-arzu mushkil se niklega

kahan tak kuchh na kahiye ab to naubat jaan tak pahunchi

takalluf-bar-taraf ai zabt nala dil se niklega

tasawwur kya tera aaya qayamat aa gai dil mein

ki ab har walwala bahar mazar-e-dil se niklega

na aaenge wo tab bhi dil nikal hi jaega 'fani'

magar mushkil se niklega baDi mushkil se niklega

(1125) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Tirchhi Nazar Ka Tir Hai Mushkil Se Niklega In English By Famous Poet Fani Badayuni. Teri Tirchhi Nazar Ka Tir Hai Mushkil Se Niklega is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Teri Tirchhi Nazar Ka Tir Hai Mushkil Se Niklega for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Teri Tirchhi Nazar Ka Tir Hai Mushkil Se Niklega in PDF.