Tera Nigah-e-shauq Koi Raaz-dan Na Tha

tera nigah-e-shauq koi raaz-dan na tha

aankhon ko warna jalwa-e-jaanan kahan na tha

aalam-e-juz-e'tibar-e-nihan-o-ayan na tha

yani ki tu ayan na hua aur nihan na tha

ab tak teri gali mein ye ruswaiyan na thin

ab tak to is zamin pe koi aasman na tha

kya din the jab maal-e-wafa ki KHabar na thi

wo din bhi the ki haal-e-wafa dastan na tha

talqin-e-sabr dil se to koi dushmani na thi

dekha ye haal qabil-e-sharh-o-bayan na tha

mafhum-e-kaenat tumhaare siwa nahin

tum chhup gae nazar se to sara jahan na tha

har shaKH har shajar se na tha bijliyon ko lag

har shaKH har shajar pe mera aashiyan na tha

aaghosh-e-maut mein tah-e-daman-e-yar hun

wo din gae ki mujh pe koi mehrban na tha

aazurda tha ki zabt-e-fughan mein asar nahin

sharminda hun ki zabt-e-fughan raegan na tha

ho bhi chuke the dam-e-mohabbat mein hum asir

aalam abhi ba-qaid-e-zaman-o-makan na tha

allah re be-niyazi-e-adab-e-iltifat

dekha mujhe to pae nazar darmiyan na tha

mere dil-e-ghuyur ka husn-e-talab to dekh

goya zaban pe harf-e-tamanna giran na tha

tu ne karam kiya to ba-unwan-e-ranj-e-zist

gham bhi mujhe diya to gham-e-jawedan na tha

'fani' fusun-e-maut ki tasir dekhna

Thahra wo dil ki jis pe sukun ka guman na tha

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Nigah-e-shauq Koi Raaz-dan Na Tha In English By Famous Poet Fani Badayuni. Tera Nigah-e-shauq Koi Raaz-dan Na Tha is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Tera Nigah-e-shauq Koi Raaz-dan Na Tha for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Tera Nigah-e-shauq Koi Raaz-dan Na Tha in PDF.