Takid Hai Ki Dida-e-dil Wa Kare Koi

takid hai ki dida-e-dil wa kare koi

matlab ye hai ki dur se dekha kare koi

aate hi tere wada-e-farda ka e'tibar

ghabra ke mar na jae to phir kya kare koi

wo jalwa be-hijab sahi zid ka kya ilaj

jab dil mein rah ke aankh se parda kare koi

kahte hain husn hi ki amanat hai dard-e-ishq

ab kya kisi ke ishq ka dawa kare koi

KHali hai bazm-e-zauq-talab ahl-e-hosh se

itna nahin ki teri tamanna kare koi

wo dard de ki maut bhi jis ki dawa na ho

is dil ko maut de jise achchha kare koi

'fani' dua-e-marg ki takrar kya zarur

ghafil nahin ki un se taqaza kare koi

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Takid Hai Ki Dida-e-dil Wa Kare Koi In English By Famous Poet Fani Badayuni. Takid Hai Ki Dida-e-dil Wa Kare Koi is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Takid Hai Ki Dida-e-dil Wa Kare Koi for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Takid Hai Ki Dida-e-dil Wa Kare Koi in PDF.