Wa-e-nadani Ye Hasrat Thi Ki Hota Dar Khula

wa-e-nadani ye hasrat thi ki hota dar khula

hum qafas raaz-e-asiri kya kahen kyunkar khula

fursat-e-ranj-e-asiri di na un dhaDkon ne hae

ab chhuri sayyaad ne li ab qafas ka dar khula

allah allah ek dua-e-marg ke do do asar

wan khula bab-e-ijabat yan qafas ka dar khula

uf is aazadi-e-be-hangam ki majburiyan

main qafas ke pas yun baiTha hi rahta par khula

ujlat-e-parwaz jab milne bhi de rah-e-gurez

yun to khulne ko qafas ka dar khula aksar khula

band hai bab-e-qafas ho sar to paTke jaiye

hum ne dekha hai qafas ki tiliyon mein dar khula

kam to kya sayyaad be-tabi siwa ho jaegi

tu ne nahaq tiliyon mein rakh diya KHanjar khula

aasman garam-e-talafi chahiye kaisa qafas

bijliyon ke ek ishaare mein qafas ka dar khula

likh chuke hum ja chuka KHat gar yahi haalat rahi

hath mein aaya qalam aur shauq ka daftar khula

dil mein zaKHm ashkon mein KHun surat ba-bin-alam-mapras

wo nigah uf wo mizha nawak chhupa nashtar khula

dam-ba-KHud sakte ka aalam murdani chhai hui

rang meri zindagi ka meri mayyat par khula

dil mein tera dhyan ek muddat raha begana-war

khulte hi khulte khula aur kya hi sharma kar khula

dekhiye kya gul khilati hai bahaar ab ke baras

KHwab mein 'fani' ne dekha hai qafas ka dar khula

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wa-e-nadani Ye Hasrat Thi Ki Hota Dar Khula In English By Famous Poet Fani Badayuni. Wa-e-nadani Ye Hasrat Thi Ki Hota Dar Khula is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Wa-e-nadani Ye Hasrat Thi Ki Hota Dar Khula for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Wa-e-nadani Ye Hasrat Thi Ki Hota Dar Khula in PDF.