Dayar-e-shab Ka Muqaddar Zarur Chamkega

dayar-e-shab ka muqaddar zarur chamkega

yahin kahin se charaghon ka nur chamkega

kahan hun main koi musa ki ek sada pe meri

wo nur phir se sar-e-koh-e-tur chamkega

tere jamal ka nashsha sharab jaisa hai

hamari aankhon se us ka surur chamkega

bharam jo pyas ka rakkhega aaKHiri dam tak

usi ke hath mein jam-e-tuhur chamkega

ye kah ke dar pe KHud ko chaDha diya main ne

ki dar par bhi sar-e-be-qusur chamkega

luTe hue hain magar hum abhi nahin mayus

hamare taj mein phir koh-e-nur chamkega

talash karta hai mujh musht-e-KHak mein tu abas

ghurur hoga jabhi to ghurur chamkega

mata-e-fan se nawaza gaya hai tujh ko 'faragh'

isi se nam tera dur dur chamkega

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dayar-e-shab Ka Muqaddar Zarur Chamkega In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Dayar-e-shab Ka Muqaddar Zarur Chamkega is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Dayar-e-shab Ka Muqaddar Zarur Chamkega for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Dayar-e-shab Ka Muqaddar Zarur Chamkega in PDF.