Din Mein Bhi Hasrat-e-mahtab Liye Phirte Hain

din mein bhi hasrat-e-mahtab liye phirte hain

hae kya log hain kya KHwab liye phirte hain

hum kahan manzar-e-shadab liye phirte hain

dar-ba-dar dida-e-KHun-nab liye phirte hain

wo qayamat se to pahle nahin milne wala

kis liye phir dil-e-betab liye phirte hain

hum se tahzib ka daman nahin chhoDa jata

dasht-e-wahshat mein bhi aadab liye phirte hain

saltanat hath se jati rahi lekin hum log

chand baKHshe hue alqab liye phirte hain

ek din hona hai miTTi ka niwala phir bhi

jism par atlas-o-kamKHwab liye phirte hain

ham-nawai kahan hasil hai kisi ki mujh ko

ham-nawaon ko to ahbab liye phirte hain

kis liye log hamein sar pe biThaenge faragh

hum kahan ke par-e-surKHab liye phirte hain

(1612) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Mein Bhi Hasrat-e-mahtab Liye Phirte Hain In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Din Mein Bhi Hasrat-e-mahtab Liye Phirte Hain is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Din Mein Bhi Hasrat-e-mahtab Liye Phirte Hain for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Din Mein Bhi Hasrat-e-mahtab Liye Phirte Hain in PDF.