Hamare Sath Umid-e-bahaar Tum Bhi Karo

hamare sath umid-e-bahaar tum bhi karo

is intizar ke dariya ko par tum bhi karo

hawa ka ruKH to kisi pal badal bhi sakta hai

us ek pal ka zara intizar tum bhi karo

main ek jugnu andhera miTane nikla hun

rida-e-tira-shabi tar tar tum bhi karo

tumhaara chehra tumhein hu-ba-hu dikhaunga

main aaina hun mera e'tibar tum bhi karo

zara si baat pe kya kya na kho diya main ne

jo tum ne khoya hai us ka shumar tum bhi karo

meri ana to takalluf mein pash pash hui

dua-e-KHair mere haq mein yar tum bhi karo

agar main hath milaun to ye zaruri hai

ki saf sine ka apne ghubar tum bhi karo

koi zaruri nahin hai ki sab ki tarah 'faragh'

zamane wali rawish iKHtiyar tum bhi karo

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Sath Umid-e-bahaar Tum Bhi Karo In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Hamare Sath Umid-e-bahaar Tum Bhi Karo is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Hamare Sath Umid-e-bahaar Tum Bhi Karo for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Hamare Sath Umid-e-bahaar Tum Bhi Karo in PDF.