Jis Din Se Koi KHwahish-e-duniya Nahin Rakhta

jis din se koi KHwahish-e-duniya nahin rakhta

main dil mein kisi baat ka khaTka nahin rakhta

mujh mein hai yahi aib ki auron ki tarah main

chehre pe kabhi dusra chehra nahin rakhta

kyun qatl mujhe kar ke Dubote ho nadi mein

do din bhi kisi lash ko dariya nahin rakhta

kyun mujh ko lahu dene pe tum log ba-zid ho

main sar pe kisi shaKHs ka qarza nahin rakhta

ahbab to ahbab hain dushman ke tain bhi

kam-zarf zamane ka rawayya nahin rakhta

ye sach hai ki main ghaalib-e-sani nahin lekin

yaran-e-muasir ka bhi lahja nahin rakhta

baadal to 'faragh' asl mein hota hai wo baadal

jo pyas ke sahra ko bhi pyasa nahin rakhta

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Din Se Koi KHwahish-e-duniya Nahin Rakhta In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Jis Din Se Koi KHwahish-e-duniya Nahin Rakhta is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Jis Din Se Koi KHwahish-e-duniya Nahin Rakhta for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Jis Din Se Koi KHwahish-e-duniya Nahin Rakhta in PDF.