Jo Bhi Anjam Ho Aaghaz Kiye Dete Hain

jo bhi anjam ho aaghaz kiye dete hain

mausamon ko nazar-andaz kiye dete hain

kuchh to pahle se tha rag rag mein shujaat ka surur

kuchh hamein aap bhi jaan-baz kiye dete hain

had se aage jo parinde nahin uDne wale

hadse un ko bhi shahbaz kiye dete hain

dasht o sahra ye samundar ye jazire ye pahaD

munkashif hum pe kai raaz kiye dete hain

shab-e-zulmat na ho ghamgin ki jala kar KHud ko

nur se tujh ko sar-afraaz kiye dete hain

shahr-e-jaan par kai barson se musallat hai jumud

chheD kar dil ko chalo saz kiye dete hain

hum ki zinda hain abhi zulf-e-ghazal aa tujh ko

phir ata nikhat-e-shiraaz kiye dete hain

kaun aata hai ayaadat ke liye dekhen 'faragh'

apne ji ko zara na-saz kiye dete hain

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Bhi Anjam Ho Aaghaz Kiye Dete Hain In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Jo Bhi Anjam Ho Aaghaz Kiye Dete Hain is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Jo Bhi Anjam Ho Aaghaz Kiye Dete Hain for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Jo Bhi Anjam Ho Aaghaz Kiye Dete Hain in PDF.