Kabhi Harif Kabhi Ham-nawa Hamin Thahre

kabhi harif kabhi ham-nawa hamin Thahre

ki dushmanon ke bhi mushkil-kusha hamin Thahre

kisi ne rah ka patthar hamin ko Thahraya

ye aur baat ki phir aaina hamin Thahre

jo aazmaya gaya shahr ke faqiron ko

to jaan-nisar-e-tariq-e-ana hamin Thahre

hamin KHuda ke sipahi hamin muhajir bhi

the haq-shanas to phir rahnuma hamin Thahre

dilon pe qaul-o-amal ke wo naqsh chhoDe hain

ki peshwaon ke bhi peshwa hamin Thahre

'faragh' ran mein kabhi hum ne munh nahin moDa

maqam-e-ishq se bhi aashna hamin Thahre

(1065) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Harif Kabhi Ham-nawa Hamin Thahre In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Kabhi Harif Kabhi Ham-nawa Hamin Thahre is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Kabhi Harif Kabhi Ham-nawa Hamin Thahre for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Kabhi Harif Kabhi Ham-nawa Hamin Thahre in PDF.