Jab Bhi Sham-e-tarab Jalai Hai

jab bhi sham-e-tarab jalai hai

aanch mahrumiyon ki aai hai

raste itne be-karan to na the

justuju kitni dur lai hai

zahmat-e-justuju se kya hoga

bu-e-gul kis ke hath aai hai

kitni ranginiyon mein teri yaad

kis qadar sadgi se aai hai

kah ke jaan-e-ghazal tujhe hum ne

apni kam-maigi chhupai hai

jab bhi 'jawed' chheD di hai ghazal

baat waraftagi tak aai hai

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Sham-e-tarab Jalai Hai In English By Famous Poet Fareed Javed. Jab Bhi Sham-e-tarab Jalai Hai is written by Fareed Javed. Read famous Poem Jab Bhi Sham-e-tarab Jalai Hai for youth and Student by Fareed Javed. Free Download Jab Bhi Sham-e-tarab Jalai Hai in PDF.