Chaakari Mein Rah Ke Is Duniya Ki Mohmal Ho Gae The

chaakari mein rah ke is duniya ki mohmal ho gae the

hum tabhi to dekhte hi us ko pagal ho gae the

jism se bahar nikal aae the hum us ki sada par

ek lamhe ko to sare masale hal ho gae the

ishq maqnatis par sab jama the zarre hamare

muntashir miTTi ke mansube mukammal ho gae the

mere har misre pe us ne wasl ka misra lagaya

sab adhure sher shab bhar mein mukammal ho gae the

dar-ba-dar nakaam phirti thi siyah-baKHti hamari

aur hum ghabra ke un aaankhon mein kajal ho gae the

main makan-e-wasl mein pahuncha to wo KHali paDa tha

aur darwaze bhi bahar se muqaffal ho gae the

gard uDati ja rahi thi tez-raftari hamari

ham-safar sab dur tak aaankhon se ojhal ho gae the

'farhat-ehsas' ek dam aashiq hue the jaane kis ke

dekhte hi dekhte aaankhon se ojhal ho gae the

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaakari Mein Rah Ke Is Duniya Ki Mohmal Ho Gae The In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Chaakari Mein Rah Ke Is Duniya Ki Mohmal Ho Gae The is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Chaakari Mein Rah Ke Is Duniya Ki Mohmal Ho Gae The for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Chaakari Mein Rah Ke Is Duniya Ki Mohmal Ho Gae The in PDF.